Maa Shailputri
माँ शैलपुत्री
Parvatraj Himalaya ki putri hone ke kaaran Devi 'Shailputri' kehlati hain. Pichhle janm mein ve Raja Daksh ki putri Sati thin. Pita ke yagya mein Shiv ji ka apmaan sehan na kar paane par unhone yogagni mein deh tyag diya aur agle janm mein Himalaya ke ghar janm liya. Vrishabh par savaar, daayein haath mein trishul aur baayein mein kamal — maanyata hai ki inki pooja se jeevan mein sthirta aur drirhta aati hai.
ॐ देवी शैलपुत्र्यै नमः


